Just wanna share with you all !!!
Tujh ko dekha tu muhabbat bhi samajh mein aee
Warna is lafz ki tareef suna kartay thay !!!
Yeh maujza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe
Ke sang tujh per girray aur zakhm mujhe aaye
Yeh saaneha bhi muhabbat mein baar-eha guzra
Ke us ne haal bhi poocha tu aankh bhar aee
Bahut mushkil hai tarq-e-aashiqui ka dard sehna bhi
Bahut dushwaar hai lekin muhabbat karte rehna bhi
Aisi tarekeeyan aankhon mein basi hain ke Faraaz
Raat tu raat hai hum din ko jalaatay hain chiraag
Bhaag nikala thaa jo sar-e-toofan se churah kar daman
Sar-e-Saahil wohi dooba huwa kashti mein mila
Taqdeer mein likhee hain muhabbat ki talkheyaan
Yeh zehar kabhi shauq se mein ne peeya nahee
Pehlay pehal ka ishq, abhi yaad hai faraaz
Dil khud yeh chaahata thaa ke ruswaeyaan bhi hoon
Toot kar girte hain jab apne makeenoo per makkan
Aankh ko lagta hai yeh behad shanaasa haadsa
Apni barbaadi pe hum kitne khush thay lekin Faraaz
Dost dushman ka nikal aaya hai apna aashna
Maloom hain mujh ko tere ehwaal, ke mein bhi
Muddat huwi guzra thaa, issi rahaguzar se
and the last one…
Afsoos dil ka haal koi poochta nahee
Yeh keh rahe hain sab ke teri surat badal gaee…!!!