*koyi chaudhveen raat ka chaand ban kar tumhaare tasavur mein aaya to hoga
kisi se to ki hogi tum ne muhabbat kisi ko galle se lagaaya to hoga
tumhaare Khayaalon ki anganaaiyon mein meri yaad ke phool mahake to honge
kabhi apni aankhon ke kaajal se tum ne mera naam likh kar mitaya to hoga
labon se muhabbat ka jaadu jagaakar bhari bazm mein sab se nazarien bacha kar
nigaahon ki raahon se dil mein samaa kar kisi ne tumhein bhi churaya to hoga
kabhi aaine se nigaahein milaakar jo li hogi bharapoor angarayi tune
to ghabaraake khud teri angaraaiyon ne tere husn ko gud-gudaaya to hoga
nigaahon mein shama-e-tamanna jalaa kar taki hongi tum ne bhii raahein kisi ki
kisi ne to vaadaa kiya hoga tum se kisi ne tumhein bhi rulaaya to hoga*
- Akhtar Azad