koy kaam bhi ker lo app sab mil key

:smilestar:

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

time nai saaday kay kol drinking huqqa...

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

sub mil ker kaam kharab he ker saktay hain is lay apnay apnay kam khud kerna chaeye

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

Kaam kharaab karna bhi aik kaam hay, and Quid Uncle nay farmaaya kay, kaam kaam aur kaam karo :s

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

^ kaam kharab kerna kaam nahi na kaam hay or is say acha hay banda na he kerta jaisai misal lain

main nay drawing room ki dusting ke to glass table ko neechay saff kernay kay ley ulta ker diya or glass sahab naraz ho ker dharam say kisi haseena kay dil ki terah chikna choor ho gaye ab mera kia qasoor tha

lakin ammi nay kaha bus tum say kam kehlwa ker mazeed kam berhwala lo
tum to kaam na he kia kero

phir ik din fridge saaf ki to us ka glass mere hatoon say guzertay waqt ki terah phislata hoa mere qadmoon main kisi Ashiq ki terah sajda raiz ho gaya
or jan day dee

ab is main bhi dekha jaye to qasoor mera nahi tha lakin ammi nay ainda mujh say kaam keranay per toba ker leee

is say sabit hoa kaam kharab kernay say behter na he kero

Quid-e-azam hotay to woh ajj ka pakistan dekh ker kehtay
pakistan na he banta to acha tha

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

Aap kay kamoN main Ishq and Ashiq ka kafi strong interaction hay, pehlay janam main aap kia Laila theen ? :-p

waisay kaam na karwanay k achay bahanay hain, k cheezain torhtay jao, agla banda khud hi keh daiga k bhai plz aap kaam na karo, bas aik jagah tikk kar baith jao :-p

Quid uncle ko sadma to hota, lekin mujhay daikh kar wo phir say jawaan hojatay cool me

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

^ jee nahi mera ik he janam hay is duniya main or wohe kafe hay ...mujhay dobara is duniya mainy ana ka kois hooq nahi ..

dekha app ko bhi yehe laga na k main kam say jan churanay kay ley yeh sab kia...koi nahi samjh sakta ...yeh sub un glasses ki sazzish the mujhay badnam ker k ley

app ko dekh ker sawaye quid-e-azam jawan to kia hotay hayran zaror hotay aisa net dada abba bhi ajj kal arahay hain

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

Pg,
mujhay jo bhi lagta hay sach hi lagta hay, yaqeenan kaam karna ap kay rickshaw ki baat nai,

Agar Quid uncle hotay to wo bhi kehtay yar choro tehreek e ghulami, gupshup pay flooding karo bass...

Re: koy kaam bhi ker lo app sab mil key

:smack: mey ney to is lia kohli thi ek app log poocheyn gey kia kaam kereyn to mey khaon ga dua kereyn merey teen teen test hey ajj :teary1:

per app log to kaam ke peechey hath doh ke per gaye hey :bummer: