Sorry i don’t know if this is the right Forum for this. This is a ghazal whose lyrics are by M.G. Hashmath, sung by Kishore Kumar. Pata nahiN keouN, i just find the lyrics breathtakingly beautiful in their simplicity.
meraa jiivan koraa kaagaz, koraa hii rah gayaa
jo likhaa thaa
jo likhaa thaa aaNsuon ke sang bah gayaa
ik havaa kaa jhonkaa aayaa / TuuTaa daalii se phuul
naa pavan kii naa chaman kii
kiskii hai ye bhuul
kho gai / khushabuu havaa mein
kuchh na rah gayaa
uRte panchhii kaa Thikaanaa
mera na koii jahaaN / meraa na koi jahaaN
naa Dagar hai naa khabar hai
jaanaa hai mujhko kahaaN
ban ke sapanaa / hamasafar kaa saath rah gayaa
meraa jiivan koraa kaagaz, koraa hii rah gayaa
jo likhaa thaa
jo likhaa thaa aaNsuon ke sang bah gayaa