Lakh zabt e khawhish kay
Beshumar daway hon
Us ko bool janay kay
Bepanah iraday hon
Aur is muhabbat ko tark ker k jeenay ka
Faisla sunanay ko
Kitnay lafz sochay hon
Dil ko us ki aahat per
**Barmala dharaknay say **
Kon rok sakta hay!
**Phir wafa kay sehra mein **
Us kay narm lehjay aur sogawar aankhon ki
Khushbooun ko choonay ki
Justuju mein rehnay say
Rooh tak pighalnay say
Nangay paaon chalnay say
Kon rok sakta hay!
Aansooun ki baarish mein
Chahay dil kay haathon mein
Hijr kay musafir kay
Paaon tak bhi choo aao
Jis ko laut jana ho
Us ko door janay say
Raasta badalnay say
**Door jaa nikalnay say **
Kon rok sakta hay!!!