-_____________________-
Yahan Khamosh Nazroo’n Ka
Nazara Kon Banta hay
***Buhat Gehray Samandar Ka ***
Kinara Kon Banta Hay
Chalo Hum Daikhtay Hain Ab
Khud Ko Barbaad Kar K Bhi
***Humari Barbadiyo’n Main Bhi ***
Humara Kon Banta Hay
Koi Sheesha Agar Tottay
*** Tou Wapas Jurr Nahi Sakta***
***MUHABBAT Main Fana Ho Kar ***
Dobara Kon Banta Hay
***Chalo Tum Aazma Lo ***
Sabhi Apnay Parayo’n Ko
***Tumharay Dard Main Deykhain ***
Tumhara Kon Banta Hay
------------------------------------