Re: koii baat abhii huii hai k guzar gaye zamaane…my Dad’s Ghazal
aapkaa beHad mamnoon o mutashakkir huN k aapne vaalid marHoom kii Ghazal pasand farmaayii…![]()
shukria bahot bahot aapkaa Shab-e-Hijr saaHiba ![]()
bahooot navaazish haia aapkii UZ saaHiba ![]()
Amal Bhaaii, aapkii is qadar pazeeraaii ke liye maiN aapkaa shukr guzaar huN…inshaa Allah, maiN waqtan fa waqtan vaalid marHoom ke kalaam ko aap logoN ke saath share kartaa rahuuNgaa… Khush rahiye ![]()
**Koyal aapkaa bahot bahot shukria k aapko Ghazal pasand aayii aur bil-Khusoos mandarja baalaa she’r. navaazish, karam!
meraa kalaam nahiiN hai yeh so FaaKhta bas likhtaa hai boltaa nahiiN hehe** ![]()
bahot abhot shukria aapkaa janaab ![]()
G-e-T, aapkaa beHad shukria, navaazish aur karam k aapko kalaam pasand aayaa ![]()