Buhat dinoo ki baat hay
Khizaan ko yaad bhee naheen
Yay baat aaj ki naheen
Buhat dinoon ki baat hay
Shabab pur bahar thee
Fizaa bhi khushgavaar thee
Na jaanay kiyun machal parra
Main apnay ghar say chal parra
Kissi nay mujh ko rok kar
Barree ada say Tok kar
Kaha k laut aaeay
Mairi qasam na jaeay
Magar mujhay khabar na thee
Mahool per nazar na thee
Main us shaher say aagaya
Kahyal tha k Paa gaya
Ussay jo mujh say dor thee
Magar mairee zaroor thee
Ik haseen shaam ko
Main chal parra salam ko
Gali ka rang daikh kar
Naee tarang daikh kar
Mujhay barree khushi hovee
Mujhay barree khushi hovee
Main kuch issi khushi main tha
Kissi nay jhank kar kaha
Paraey ghar say jaeay
Mairi qasam na aeyay
Wahi haseen shaam hay
Bahar jis ka naam hay
Chala hoon ghar ko chorr kar
Na jaanay jaonga kidhar
KOI naheen jo rok kar
KOI naheen jo tok kar
Kahay k laut aaeay
Mairi qasam na jaeay
Re: 'Koi'
just beautiful.. khairyat to hay.. ap ko shairi ki kab say shoq pari hay :D
Allah khair karay :(
saroo
September 29, 2005, 10:19am
3
Re: 'Koi'
Come on Attia u need to be encouriging people afterall you are among the elders of this group..........
Its beautifull khan jee...............very nice.........very melodious.
Re: 'Koi'
after salam lala i just say tusi kamal kertay ho
rukna tha na lala ji
Re: ‘Koi’
hay saro that is wat he has been telling me in my other thread
maynay kuch nahi kiya
nakhan
September 30, 2005, 6:36am
6
Re: 'Koi'
wow wow lovely...
maza aa gaya khan sahab...
Janab likhi kis nay ye to bata dain
Re: 'Koi'
thanx to all.janab yeh AHAMED FARAZ SAHIB ki ghazal hay
Re: 'Koi'
sorry for mistake ahmed faraz****
Re: ‘Koi’
jab say koi chupkay say maan main aakar sama gaya hay aur akhyoon ki neend chura lay gaya hay:)
Re: ‘Koi’
oji ticket confirm karva li thee na is liyay na ruk saka:confused:
Re: ‘Koi’
thanx 4 daanting ATTIA moti
saroo
September 30, 2005, 8:15am
12
Re: ‘Koi’
O chuck day phuttay khan sahib…yar tum to full mujnoo bun gaey ho…kidhar hay teri laila…
Re: 'Koi'
oo yar buhat door hay mujha say
Re: ‘Koi’
chalo jee.. ak aur banda khatam hogaya is khabees ishq ki bimari may
Abay logo tum kambakhto ko kia kharish horahee hay.. na karo ishq… dayko be like me.. aur just look for ur prince charming aur woh kud ajayay ga ak din
saroo
September 30, 2005, 1:13pm
16
Re: ‘Koi’
Attia:
Wateva
Come on lady itna to haq hay hamara k dant sakeen
nakhan
September 30, 2005, 1:31pm
17
Re: ‘Koi’
main aa gaya…
kisi nay mujhay yaad kiya hay?..
saroo
September 30, 2005, 1:58pm
18
Re: ‘Koi’
Attia:
Wateva
Bhai aap k chanay waloon ki tu yahan koi kami nahin hay…
aji ghussa choorain aur hamari kuch khatir kareen koi tazaay tazaay ashaar phainkain.
Re: ‘Koi’
haanhaan danto.. aj danta to kal mar bee paray gee