koi zanjeer ho

koi zanjir ho’
ahan ki’ chandi ki’rewaiat ki
Muhabat tor sakti ha..
ya wo dhaal ha jis par
zamany ki kesi talwar ka loha nahi chalta
ya wo shehr ha jis main
kesi Aamir’ kesi Sultan ka sekaa nahi chalta
agar chashm-e-tamasha main zara c bhi malawt ho
ya aiena nahi chalta
ya wo Aag ha jis main
badan sholon main jalty hain to Ruhain muskrati hain
ya wo selaab ha jis ko
Dilon ki bastiaan awaz day kar khud bulati hain
ya jab chahy kesi b khwab ko tabeer mel jay
jo manzar bujh chuky hain’un ko bhi tanver mel jay
Dua’ jo be_thekana thi usy taseer mel jay
kesi rasty main rasta puchti takder mel jay
ya chakna chur aieny ki kerch’ain jor sakti ha
jidhar chahy ya bag’ain mosmo ki mor sakti ha
koi zanjir ho’ us ko muhabat tor sakti ha..!!

  • Amjad Islam Amjad *

Re: koi zanjeer ho

Good one … :k:

Re: koi zanjeer ho

Amjad jEe RocKs again n so Ts :) Thanks !