Koi yeh kaisay bataey keh woh tanha kion hay Woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hay Yehi duniya hay tou phir aesi yeh duniya kion hay Yehi hota hay tou akhir yehi hota kion hay
Ik zara haath barhaey tou pakar lain daaman Uskay seenay mein samaa jaye hamari dharkan Itni qurbat hay tou phir faasla itna kion hay
Dil e barbaad say nikla nahee ab tak koi Ik lutay ghar pe diya kerta hay dastak koi Aas jo toot gaee phir say bandhata koin hay
Tum musarrat ka kaho ya isay gham ka rishta Kehtay hain payar ka rishta hay janam ka rishta Hay janam ka rishta tou badalta kion hay Koi yeh kaisay bataey keh woh tanha kion hay!!!