koi yeh kaisay batay k woh thanha kyoun hai?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kyoun hai?
yehi dunya hai to phir aisi yeh dunya kyoun hai?
yehi hota hai ho aakhir yehi hota kyoun hai?
ik zara haath barha deen to pakar lain daman
uske seenay main sama jaai hamari dharkan
itni kurbat hai to phir fasla itna kyoun hai?
dile barbad se nikla nahi ab tak koi
ik lotay ghar peh diya karta hai dastak koi
aas jo toot gai phir se bandhata kyoun hai?
tum massarrat ka kaho ya issay ghum ka rishta
kehtay hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo yeh rishta to badalta kyoun hai