Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha KyuN Hai
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka KyuN Hai
Yahi Duniya Hai To Phir Aisi Ye Duniya KyuN Hai
Yahi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota KyuN Hai

Ik Zara Haath Badha Dain To Pakad LaiN Daman
Uske Seeney Main Sama Jayae Hamari Dhadkan
Itni Kurbat Hai To Phir Faasla Itna KyuN Hai

Dil-e-Barbad Sae Nikla Nahi Abb Tak Koi
Ik Lutay Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo Toot Gai Phir Say Bandhata KyuN Hai

Tum Massarrat Ka Kaho Ya Isay Gham Ka Rishta
Kehtae Hain Pyar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta KyuN Hai

Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyon Hai

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

Bauhat aala. :k:

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

BOhat Khoob
Welcome back :-)

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

apne moonh se bata de ya phir khat likh ke bata de ke wo tanha hai :crying:

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

And how beautifully it was sung :lajawab:

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

Can't stop listening to it since last week... Kaifi Azmi ka dilnasheeN andaaz aur Jagjeet ki seharzada kernay wali aawaz...

Thanks for appreciating everyone.

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

ohh it reminds me of some song but i dun remember which song exactly..:hmmm:

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

*beautiful sharing fara ji.. *

Re: Koi Ye Kaisay Batayee Kay Woh Tanha Kyun Hay

One of my all time fav … Thanks for sharing … :k: