Kafi dinoo se yah gazal gunguna raha tha …
soocha share kar loon … jagjit singh ki hai shayd
**koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyooN hai
wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyooN hai
yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyooN hai**
** yahi hota hai to aakhir yahi hota kyooN hai**
** ik zara haath barha deN to pakar le daaman
uske seene meiN sama jaaye hamari dharkan
itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyooN hai**
** dil-e-barbaad se nikla nahiN ab tak koi
ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo TooT gayee phir se bandhaata kyooN hai**
** tum asarrat ka kahO ya ise gham ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyooN hai**