Ankh ban jaati hai saawan ki ghata shaam ke baad
Laut jaata hai agar koi khafa shaam ke baad
Woh jo tal jaati rahi sar se bala shaam ke baad
Koi tu thaa ke jo deta thaa dua shaam ke baad
Aahain bharti hain shab-e-hijar yateemoon ki tarah
Sard ho jaati hai har roz hawa shaam ke baad
Shaam tak qaid raha kartay hain dil ke andar
Dard hojaatay hain saaray hi riha shaam ke baad
Log thak haar ke so jaatay hain lekin janaan
Hum ne khush ho ke tera dard saha shaam ke baad
Shaam se pehlay talak laakh sulaaye rakhain
Jaag uth’ti hai muhabbat ki ana shaam ke baad
Chaand jab ro ke sitaroon se galay milta hai
Ek ajjab rang ki hoti hai fiza shaam ke baad
Hum ne tanhaee se poocha ke milogi kab tak
Us ne bechaini se forun hi kaha shaam ke baad
Mein agar khush bhi rahoon phir bhi mere seenay mein
Sougwaari koi roti hai sada shaam ke baad
Tum gaye ho tu seyah rang ke kapray pehnay
Phirti rehti hai mere ghar mein qaza shaam ke baad
Laut aati hai meri shab ki ibaadat khaali
Jaanay kis arsh pe rehta hai Khuda shaam ke baad
Koi bhoola huwa gham hai jo musalsal mujh ko
Dil ke pataal se deta hai sada shaam ke baad
Maar deta hai ujjar jane ka dohra ehsaas
Kaash ho koi kisi se na juda shaam ke baad…