-- Koi tou aaey --

taras rahi hey nigaah meri
koi tou aaey…
ujaalay laaey
koi ho aesa k uss kay dil meiN ho dard sab ka
wuh zakhm kha k bhi muskuraey
na haar maaney,na girgiraey
koi tou aaey…
merey Watan pe kathan ghaRi hey
sabhi ko apni hi bus pari hey
kisi ko doojey ki kuch khaber hey, nah doosron ka suraagh paaey
koi to meray watan ki khatir bahaar laaey
koi tou aaey…
koi ho aesa jo is watan k wuh rang wapis samait laaey
jo waqt ki aandhiyon mein ujray tou phir na aaey
koi tou roshan charagh le k gali gali main diya jalaye!!
koi tou logon ko yeh bataaye,
k ‘‘maiN’’ ki gardaan sey tou kuch bhi nahi hey haasil
jo yeh watan hi jala diya tou kahan hey manzil?
koi tou meray watan k logon ko bhai-chaaray k gur sikhay
koi tou aaey
koi tou aaey

Re: -- Koi tou aaey --

lo main aa gayi:@:

Re: -- Koi tou aaey --

koi tau aaye

ameen

Re: – Koi tou aaey –

bohat khoob :k:

Re: – Koi tou aaey –

:k:

Re: -- Koi tou aaey --

umeed ki shama tu roshan rahtee !

Re: -- Koi tou aaey --

k ''maiN'' ki gardaan sey tou kuch bhi nahi hey haasiljo yeh watan hi jala diya tou kahan hey manzil?

Re: -- Koi tou aaey --

gooooooooooooood

Re: -- Koi tou aaey --

koi tuu aay khizaan men patty ogaany waalaa......waah gul

jaha se ae ho waha waeps chele jao kali se bili :ASA:

I meant Aaj kal jo pakistan ki situation hey uss hawaaley sey har eik bas ''meiN'' ko dekh raha hey mulk ki parwaah nahi.....ab aa hii gaaeiN heiN tou what you say?

Thanks guys for liking it :-)

Re: – Koi tou aaey –

mussu: haan jaa rahi hoon :barbie:

gul: jee jee samajh gayi thi main, aur main ne kia kehna hai main khud aa gayi it means ke i liked it warna main nahi aati :@:

Re: -- Koi tou aaey --

nice 1 gul :)