Koi To Raat Ki Tanhaii Main

Gham e hasti ho yaa jaam e masti
Sub paraya lagta hay
Shehr e rang o bu ki galiyan hoon
Yaa subh dum ujjray bam o dar mekhanay kay
Sub khwab khaikha kisi oor ka lagta hay
Aay chand meri sard ratoon ke
Badlon main mou na chupa
Bata!
Kahain daikhaii dayta hay
Woh nigaar khana e dil
Rang thay jiss main mohabat kay hazar
Akss ulfat ka rehta tha jiss main
Ban kay bahar
Kaho Sitaro! …
Razdan meri nigahoon kay
Woh musafer Tanha lambhi mosafat ka
Bojh utthay appna
Jiss pal thak haar kar gira hoga
Takra kar sanglakh chittanon say
Shisha e Dil e ** Azad~ ** jab ttoott kay bikra hoga
Koi to …
Koi to raat ki tanhaaii main roya hoga

Adab Arz
(Azad)

:rolleyes: hmmmmm

zeberdest:k:

Very nice and nice to see something from you after a long time...

^^yep :~)

nice1 Azad:k:

keep it up:~)

koN dil’aaN dee’yaN janaY

Nawazish

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Very nice and nice to see something from you after a long time...
[/QUOTE]

Nawazish dilsay Jee, Its nice to see you around ... after a long time ....well .. Arz kia hay.

Ghar Dard ko zuban dain, To hajoom e dastan ho
Haif, Ata hay humain khoof zamanay ki aankh say

Adab Arz

Gkkkkkk :hug: long time no c

aho

koi tu raat ki tanhaai mein riya ho ga :k: wah

Khoob..

[QUOTE]
*Originally posted by SuraJ: *
aho
[/QUOTE]

Woh haan bhi karta hay to inkaar lagay hay
Adhori batain, rehi Adhori Gazal hi zindagi apni

Adab Arz

Jee

[QUOTE]
*Originally posted by Philanthrope: *
Khoob..
[/QUOTE]

Nawazish

wahh bhee wah kai baat hay azad saheb app ki
really bohtt acah likha hay app nay:k::flower1::flower2:

Re: Koi To Raat Ki Tanhaii Main

Wonderfull…:flower1:

Zara nawazi hay aap ki … phoolon ka shukria .. ^

Re: Re: Koi To Raat Ki Tanhaii Main

Nawazish Nigahein Jee … aap nay pharrnay kay kabil jana .. zara nawazi hay aap ki ^

yeh lafz hi to hain jo dard kay motii ehsaas ki mala main protay hain ... in kay (alfaz, dard oor ehsaas) ke milan koi gharri motayin nahi ... shaid yahi waja hay keh intehay dard e Qalb main bhi lafz qatra qatra pigaltay rahay ...oor zindagi ka ehsaas dilatay rahay

(Moqarar) aap sub ki nazar..