Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

**
Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho
Mohabbat k khazanay lutanay wala ho

Us aik shakhas ko dunia ki her khushi de doun
Jo meray dard ko apna bananay wala ho

Mjhay bhi apni wafaon pe naz hai lakin
Yahan koi to wafa aazmanay wala ho

Jisay aziz ho dunya idhar ka rukh na karay
Yahan wo aye jo dunya lutanay wala ho

KHUDA gawah hai bari mushkil se milta ha
Woh aik dil jo MOHABBAT nibhanay wala ho**

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

channe :yummy:

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

aur agar dil mill jaye tou ? :5:

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

KAAaaash…!!

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

dil se nikla ye kaash:rotfl:

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

**Behisi Hi Behisi Phaili Hai Har Taraf,
Yun Lagta Hai Logone Dil Pathar Bana Liye Hai,

**

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

:(

Re: Koi to meray khayalon pe chhanay wala ho

**Us aik shakhas ko dunia ki her khushi de doun
Jo meray dard ko apna bananay wala ho

:lajawab:

Main apne hisse ke saare sukh jis ke naam kar daloon
koi to ho jo mujhe iss tarah ka pyara ho
**