** Koi samjhaye kay kya rang hai maikhaane kaa
aankh saaqi kee uthe, naam ho paimaane kaa**
garmi-e-shama ka afasana sunane valo
raqs dekhaa nahin tum ney abhi paravane ka
chashm-e-saaqi mujhe har gaam pe yaad aati hai
rasta bhool na jaauun kahin maikhaane kaa
ab to har shaam guzaratii hai isi kuuche mein
ye natijaa hua naaseh tere samajhane kaa
** aab to har manzil sey guzarnaa to hai aasaan “Iqbal”
ishq hai naam Khud apane se guzar jaane kaa**