Koi Sakoon Ki Jagah Talaash Karain
Aa mil K wafa Talaash karain
<~^~>
!^!
Jurm Dono Ka Hay Aik Sa
Aa Aik Jaisi Saza Talaash Karain
<~^~>
!^!
Gham Seenay Mein Jo Kabhi Ruk Na Pa’ay
Aa Aisi Aab-o-Hawa Talaash Karain
<~^~>
!^!
Dono Apni Anaa Mein Na Mit Ja’ain Kahin
Aa Koi Darmiyani Si Raah Talaash Karain
<~^~>
!^!
Zindagi Apni Kabhi Duri Mein Na Beet Ja’ay
Aa Hum Apni Apni Khata Talaash Karain
<~^~>
!^!
Daikhtay Hi Daikhtay Jo Dil Mein Utar Ja’ay
Mohabbat Ki Wo Pehli Nigaah Talaash Karain
<…~^~^~^~…>
Re: Koi Sakoon Ki Jagah Talaash Karain
**Daikhtay Hi Daikhtay Jo Dil Mein Utar Ja’ay
Mohabbat Ki Wo Pehli Nigaah Talaash Karain
Love at first sight. suna hai aaj ki ladkian pehle tasali karti hai ke ladka bus se to nahin aata, phir muhabbat ka sochti hain.. controlled and planned muhabbat ![]()
**
Re: Koi Sakoon Ki Jagah Talaash Karain
Aap ny Sahi suna hy......
Re: Koi Sakoon Ki Jagah Talaash Karain
:nono: mujhay kabhi iss cheez ka side effect naheen howa hay ![]()
Re: Koi Sakoon Ki Jagah Talaash Karain
Acha ji Prince charming ![]()
Re: Koi Sakoon Ki Jagah Talaash Karain
:nono: Charming kay mairay sath dooooooooor doooooooooooor tuk koi tauluq naheen hay :cobra: Bus batoon ka shahazada
Ghareeb aadmi kay pass batain he to hoti hain :hinna: