Koi nishaani-e-gham chorrh kar nahi jaatey

Koi nishaani-e-gham chorrh kar nahi jaatey
Bagoolay naqsh-e-qadam chorrh kar nahi jaatey

Kuch is tarha say paroyee gai khayalon mai
Wo hum ko chorh dain–hum chorrh kar nahi jaatey

Humein hi maangtey rehtay hain–jee nahi bharta
Wo dil mai dard toh kum chorrh kar nahi jaatey

Kabhi toh unko humaara khayal ayeega
NAHI–wo aisa bharam chorrh kar nahi jaatey

Re: Koi nishaani-e-gham chorrh kar nahi jaatey

nice 1 :)