~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~





Buhat dinoo ki baat hay

  Khizaan ko yaad bhee naheen

  Yay baat aaj ki naheen

  Buhat dinoon ki baat hay
 
  

Shabab pur-bahar thee

  Fizaa bhi khushgavaar thee

  Na jaanay kiyun machal parra

  Main apnay ghar say chal parra


 
  Kissi nay mujh ko rok kar 

  Barree ada say Tok kar 

  Kaha k lautt aaeay

  Mairi qasam na jaeay


 
  Magar mujhay khabar na thee
 
  Mahool per nazar na thee

  Main us shaher say aagaya

  Kahyal tha k Paa gaya


 
  Ussay jo mujh say dor thee

  Magar mairee zaroor thee

  Ik haseen shaam ko 

  Main chal parra salam ko


 
  Glee ka rang daikh kar

  Naee tarang daikh kar

  Mujhay barree khushi hovee

  Mujhay barree khushi hovee


 
  Main kuch issi khushi main tha

  Kissi nay jhank kar kaha

  Paraey ghar say jaeay

  Mairi qasam na aa-eeyay
 


  Wahi haseen shaam hay

  Bahar jis ka naam hay

  Chala hoon ghar ko chorr kar

  Na jaanay jaonga kidhar


 
  KOI naheen jo rok kar

  KOI naheen jo tok kar

  Kahay k lautt aa-eay

  Mairi  qasam na ja-eay !!


Re: ~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~

:k:

Re: ~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~

thanx :slight_smile:

Re: ~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~

very nice.

na muhabbat na dosti ke liye
waqt rukta nahin kisi ke liye

Re: ~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~

waqt kisi ka intezar nahin karta
wohi kamyaab hai jo waqt k sath sath chalty hain

Re: ~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~

tumhare pass se main uth k aa gaya magar
har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n
wo kapkapate hoe lab wo dubdubati nazar
wo alwidai tabassum sa, zard chehre per
tehar gaya hai nigaho main akhri manzar
tumhare pass se main uth k aa gaya magar
har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

Re: ~ Koi Naheen Jo Rok Kar ~

wafa mil jaey jisay es dunya main ....
waqt tham jaata hay ussee k liyay :-)

na hum waqt na zamanay k saath chaltay hain
hum tou bhatkay hovay logo k saath chaltay hain
koi lagaey humain thokar ya koi dhutkaaray
hum muhabbat k may pi k chaltay hain
:-)

buhat khoob :-)