tanha udaas shamon main
tanha udaas shamo main
ab kiyun phira karoon main
mujhe bhool janay walay
tujhe yaad kia karoon main
tere janay kay baaad
ye sooch lia hai main nay
buhut ro lia hai ab tak
magar ab hansa karoon main
wafa nay woh di hai thokar
ke sambhalna hoa hai mushkil
wafa ka hai yehi hasil
to kiyun na jafa karoon main
muhabbat ki thi sirf main nay
saza kiyun mili hai mujh ko
saza mil gaee hai phir to
ab koi khata karoon main
Ab jo Tujhy Dekhn tuo Bas Tujhy Dekhta Rahn
Ab Tu hi Sawal Mera aur Tu hi Jawab Hai
Tu Pass ho Meray to ho Muthi me Samandr
Tu Durr ho Mujhse tu Banjar Zameen hai
Tera Jism hai Jaise Barish me Beeghta Kanwal
Ye kis ka hai Aaina ye Kaisa jamal Hai
Tanhai k Lamhon me jab Chehra Tera Chamke
Hai Mahataab bhi na Aisa ye Kaisa Kamal hai
Tera Intezar Jaisay Aandhi se Larta Hua Charag
Khutm hoga kab ye Hijr Ye Kaisa Wisaal hai
Tujhpe Ghazal kya Likhn Tujhse hi to Ghazal hai
Tu hi Zindagi hai Meri tu hi Janay Tamaam hai
ko Jeena hai ab un Aakhon k Saharay
un k Baghair Jeena ho tuo Jeena Malaal Hai “
shab jee iam Tahreem or ek jaga is leye k aaj kal bohat sey thread open ho rahey hein so is wajah sey perhney waley ek he jaga perh lein yeh he kafi hey aap ko pasand aayee:confused: