koi mosam tau aisaa ho
kay jub bichRay hoowooN kee yaad kay jugnu
chamak kho daiN
kissi kay hij’r maiN ronay saY pahlay hee
meri aaNkhaiN kabhi so daiN
koi mosam tau aisaa ho
kay jub sub phool ulfat kay
kissi unmiT mohabbat kay
miray dil maiN khilaiN, per
unn maiN woh khushbu na ho baaqi
woh khushbu jo tumharay qurb say mehsoos hotee thee
koi mosam tau aisaa ho
kay dil kay zakh’m bhar jaayeN
agar aisaa naheeN hotaa tau phir
kitnaa hi acha ho kay
saari KhuwaahishaiN dil kee
woh saaray khwaab aur armaan
youN hee ghuT ghuT kay mar jaayeN
mujhay azaad ker jaayeN
koi mosam tau aisaa ho
kay jo mosam tumhaari yaad ka mosam na ho!!!
Aisa koi mosam nahi Anwaar...
yadoon ki raah sirf one way hoti hay, aati hay, jati nahi
marrnay kay baad hi yeh yaadain wo baatain apna rasta nikaal sakti hain aur azaad hosakti hain,
ya to marr jao, ya phir majnoon ban kar galion galion phiro ...
aap fiker hee naa karo aur ziker hee naa karo … hum laaYeN geY aisaa mosam
karaiN geY hum taazah bastiyaaN aabad
tricycle ko kabaaRiye kaY haath bechaiN geY
bastiyoN kee koThiyoN maiN laa kar
Mercedez aur Beamer hum dekhaiN geY
yeh mosam waisaa naa ho
kaY tapti dhoop maiN laY kar
tricylce par hum jub nikaltaY thaY
abb sub mosam badal jaayeN geY
beamer lay kar hum jub niklaiN geY