koi mausam ho dil mei hai tumhari yaad ka mausam
keh badla hi nahi janaa’n tumhaare baad ka mausam
nahi tu aazmaa ker dekh lo,kaise badalta hai
tumhaare muskuraane se dil_e nashaad ka mausam
rutoa’n ka qaida hai waqat per hi aati jaati hain
hamare shehr mei kyoun ruk gaya faryaad ka mausam
kaheen se uss hasee’n awaaz ki khushboo pukaare gii
tu iss ke saath hi badle gaa dil_e barbaad ka mausam!!!
[QUOTE] Originally posted by Maheen2002: *
*hua gulaab tu kaantey chuba gaya ik shahs
bana charaagh tu ghar hi jala gaya ik shahs
[/QUOTE]
mujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat ho
merii fanaa meer ehasaas kaa taqaazaa hai
main jaanataa huu.N ke duniyaa kaa Khauf hai tum ko
mujhe Khabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa hai
yahaa.N hayaat ke parde me.n maut chalatii hai
shikast saaz kii aawaaz me.n ruu naGmaa hai