Uss ne kaha, tum mein pehle jesi baat nahi
main ne kaha, zindagi mein tera sath nahi
Uss ne kaha, kia ab bhi kisi ki ankhon mein doob jate ho?
main ne kaha, ab kisi ki ankh mein wo baat nahi
Uss ne kaha, kiyon itna toot kar chaha tha mujhe?
main ne kaha, insan hon pathar zaat nahi
Uss ne kaha, kia main bewafa hon?
main ne kaha, ab mujhe wafa ki talash nahi
Uss ne kaha, bhool jana mujh ko
main ne kaha, Tum Zindagi ho koi khawb nahi