koi khaak karta hai, koi khaak hota hai

karwan sarai main, kis ka ye parrao hai
shauq ka safar shayed, raas aa nahin paya
lut gaya hai rastay main,aarzoo ka sarmaya
door manzil-e-umeed, rasta bhi hai be saya

ik thakan ke b ye bhi, karwan main shamil hai
ik chubhan ke rastay main, khar bun ke haail hai
rooh bhi shakista hai, uzaw uzaw ghayal hai
karwan saraye main , kis ka ye parrao hai

hum ne ab sepehlay bhi, aisay karwan daikhay
be murad manzil thay, na murad sahil thay
gard gard jismon pe, khuwab khuwab chehray thay
shauq ka safa kaya tha, dairay main phairay thay
ishq ki musafat main, bus yahi to hota hai
“koi khaak karta hai, koi khaak hota hai”

Re: koi khaak karta hai, koi khaak hota hai

:k:

Re: koi khaak karta hai, koi khaak hota hai

Lajavab

Re: koi khaak karta hai, koi khaak hota hai

nice