Koi dewana kehta hay koi pagal samajhta hay

**
koi dewana kehta hay koi pagal samajhta hay
magar dharti ki bechani ko bas badal samajhta hay

main tujh se dur kesa hoo tu mujh se dur kesi hay
ye tera dil samajhta hay ya mera dil samjhta hay

muhabbat aik ahsaso ki pavon si kahani hay
kabhi kabirah dewana tha kabhi meera dewani hay

yaha sab loog kehte hain meri ankho main ansoo hain
jo tu samjhe to moti hain jo na samjhe to pani hay

samander peer ka andar hay lekin ro nahi sakta
ye anso piyar ka moti hay isko kho nahi sakta

meri chahat ko apna tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta

bhramar koi ko mudni per machal betha to hangama
hamare dil main koi khuwab pal betha to hangama

abhi tak doob kar sunte the sab qissa muhabbat ka
main qissay ko haqeeqat main badal betha to hangama**

Re: Koi dewana kehta hay koi pagal samajhta hay

Bohat Khoob Suasshah..:k:

Re: Koi dewana kehta hay koi pagal samajhta hay

thnx buddy..

Nice.......

**Hi suasshah,

aapne jis taraH likhaa hai vo Ghazal kii format hai magar yeh Ghazal nahiiN hai. yeh 4 different qit'aaat [singular: qit'a] which are 4-liners. pahle do misr'oN meN qaafiya/radeef hotaa hai jab k tessra misr'a aazaad hotaa hai magar chauthaa misr'a phir ek baar qaafiy/radeef se murass'a hotaa hai.

jaise maiN ne likhaa hai to ab aap dekh sakte haiN k chaaroN qit'aaat ke qawaafii/redeef alag alag haiN magar har qit'a paaband hai.

in qita'aat meN Hindi ke alfaaz kaafii use huye haiN jo kahiiN kahiiN saHeeH tareeqe se nahiiN likhe gaye is liye confusion hotaa hai paRhne meN...typos correct kar leN to lutf do-baalaa ho jaaye.

thank you for sharing**

Re: Koi dewana kehta hay koi pagal samajhta hay

nice sharing :)

Re: Koi dewana kehta hay koi pagal samajhta hay

First of all thnx for identifing my mistakes.. I m not a poet so i dont know much about qafiye and radeef etc.. i got this in audio format so convert it in written.. but thnx usmani for correcting its format...