~*~ Koi Chaahat Na Thee ... Bas Murrawwat Thee Woh ~*~

Waqt se waqt ki kya shikaayat karain
Waqt hi na raha waqt ki baat hai
Us ne dekha mujhe us ne chaaha mujhe
Us ne thukra diya waqt ki baat hai …

Koi mushkil pari koi kaam aa gaya
Zehan mein us ke mera naam aa gaya
Baad muddat ke woh doston ki tarah
Hum se hans kar mila waqt ki baat hai …

Zindagi hum se anjaan tau ho gae
Aik rishtay ki pehchaan tau ho gae
Koi chaahat na thee bas murrawwat thee woh
Khud ko samjha liya waqt ki baat hai …

Apna rang-e-muhabbat hai sab se juda
Koi pooche tau ‘Rashid’ kahun aur kya
Jis ko paaya nahi us ko khoo kar bhi mein
Kyun ussi ka raha waqt ki baat hai … !

Re: ~~ Koi Chaahat Na Thee … Bas Murrawwat Thee Woh ~~

Nice. :k: