....koi baat nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Re: …koi baat nahi

very nice :teary1:

Nice :k:

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

bahut umda

Bohut sooz hay kalam main aaj kal ..... khair to hay?

mujhay tou yeh bhi nahi pata k khair hai k nahi:bummer:
.
.
.
.
thanx Sohail A, Capricorn n SuraJ

good one :)

Re: …koi baat nahi

very nice :k:

nice 1 :)

thanx HS, ulluji n cuteepie