bunna jis ka khawab ajdaad nain wo tha gulistaan koi aur
iss baagh kay baasi koi aur hain tou nighebaaN koi aur
kal mehfil-e-sukhan main sub ush ush kartay reh gai
ghazal hamaari iss qabil kahan, ho ga deewaN koi aur
ishq kay khail main ye ajab dastoor hai
mehnat kary koi, to ho kamraaN koi aur
bohat mushkil hai insaan kay liye insaaf ka hasool
naai zameen darkaar hai, tou chahyey aasmaaN koi aur
akhbaar parh kay boly sub “darinday bastay hain yahan”
ghalib aap hi bataaeiN kay haiN ye haiwaaN koi aur
fil-haal ghalib takhallus istemaal kar raha hoon…
aur haiwaan say matlab haiwaan-e-nataq