Koi Atka hua hai Pal Shayad by Gulzaar

Koi atka hua hai pal shayad
Waqt main pad gay hai bal shayad

Aa rahi hai jo chaap qadmon ki
Gir rahe hain kahin kanwal shayad

Dil agar hai to dard bhi hoga
Iska koi nahin hai hal shayad

Raakh ko bhi kured kar dekho
Abhi jalta ho koi pal shayad