Re: koi aisa shakss howa karey…
**na shikayateen na gila karey koi aisa shakss hokareywa
jo meray leyee hi saja karey mujh hi say bateen kia karey
kabhi roey jayee wo be-panah kabhi be-tahasha uddass ho
kabhi chupkey chupkey dabey qadam merey pechey aa ker hansa karey
meri qurbateen meri chah-hateen koi yaad karey qadam qadam
main taveel safar main hoon ager meri waapsi ki dua karey
**
yeh Ghazal hai to ise Ghazal kii shakl/haiyat meN likheN to munaasib hogaa aur yeh mukammil Ghazal nahiiN hai so agar aapko is Ghazal ke baqaayaa ash’aar mile to zaroor chaspaaN kareN…shukria.