Koi aik shakhs to youn milay k sakoon milay Koi aik lafz to aisa ho jo qaraar ho Kahin aisi rutt bhi milay hamain jo bahaar ho
“Kabhi aisa waqt bhi aaye k hamain piyaar ho”
Koi aik shakhs to youn milay ke charagh-e-jaan Usay noor day, usay taab day,banay kehkashaan Koi gham ho jisay kaha karain gham-e-jawidaan Koi youn qadam milaye k banay karwaan