Mere Dard ki jo Dawa kare koi aesa Shakhs huwa kare
Wo jo Bepanaah Udaas ho, magar hijr ka na gila kare
Meri chahtein meri Qurbatein jisse Yaad aain qadam qadam
To wo sab se chup ke Libaas-e-shab mein, lipat ke aaho buka kare
Barhe uska Gham to Qaraar kho dey, wo mere gham ke khaiyaal se
Uthein hath apne liye to phir mere lyie hi Dua ka
Kabhi Taiy kare younhi soch soch mein wo Firaaq ke Faasle
Mere peeche Aaa ke dabay dabay,meri aankhein moond hansa kare
Bara Shor hai mere Shehar mein, kissi Ajnabi ke Nazool ka
Wo meri hi Jaan na ho kahin, koi kuch to jaa ke pata kare
Bhala kesse apne hi Aks ko mai rafiq-e-jaan bana sakooN
Koi aur ho to bata to de, Koi hai kahin to sadaa kare
Ussey Dhoondti hain gali gali, meri Khalwaton ki Udaasiaan
Wo miley to bus yeh kahoon keh Aaa,mera molaa tera Bhala kare