koee kisi ko chahta hai

koee kisi ko chahta hai
mohabbat main mara hua
vo nazmain liknay baith jaata hai
jaisay Obaid Ullah Aleem kehtay hain
vo jism aur jaan se usay chahta hai
lakin kyon chahta hai
usko kyaa stata hai
mohabbat k siwa koee
khyaal nahin aata hai
hawaa main ura jaata hai
kurbaan us pe hua jaata hai
dil-o-jiggar usay deytay jaata ha
shab-o-roz preshaani main mara jaata hai
lakin fir kyon?
is gardishon main ye bhi bhool jaata hai
k vo usko muhabbat karta hai
mohabbat kyaa hai
usko is ka nahin patta hai
lakin ye zaroor jaanta hai
vo usko chahta hai
lakin vo nazar chura kar
chalaa jaata hai
adaab ka jawaab nahin deta hai
apni surat par usay
apnay aap hi taras aata hai
lakin ye samajh main fir nahin aata
k vo kyon usay chahta hai
jo usko nahin chahta hai

Note: Still a draft.