“Gulshane yaad main gur aaj dum e baad e saba
phir say chahay kay gul afshaan ho tu ho jaanay do
umr e rafta kay kisee taaq pay bisraa hoa dard
phir say chahay kay farozan ho tu ho jaanay do.
jaisay baigana say ab miltay ho waisay hi sahi
aao do chaar ghaRee mairay muqaabil baitho
garcha mil baithain gay hum tum tu mulaqat kay baad
apna ehsaas e ziyaaN aur ziyada ho gaa
hum sukhan hon gay jo hum donoN tu hur baat kay beech
unkahi baat ka mauhoom sa parda ho gaa
koee iqraar na main yaad dilaa-on ga na tum
koee muzmoon wafa ka na jafa ka ho ga
gard ayyaam ki tehreer ko dhonay kay liyay
tum say goya hoN dam e deed jo mairee palkaiN
tum jo chaho tu suno,
aur jo na chaho na suno
aur jo hurf karaiN mujh say guraizaaN aankhaiN
tum jo chaho tu kaho,
aur jo na chaho na kaho…”
(London’74
Mairay dil mairay musaafir
Faiz Ahmed Faiz)
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…