**
ham thay, hamaray saath koe teesra na tha
aysa haseen din kaheen daykha suna na tha
aankhoon main ous ki tair rahay thay haya kay rang
palkain uthaa kay mayree taraf daykhta na tha
kuch aysay ous ki jheel si aankhain theen har taraf
ham ko siwaie doobnay kay raastaa na tha
hathoon main dayr tak koe khushboo basi rahee
darwaza-e-chaman tha wo band-e-qaba na tha
ous kay too ang ang main jalnay lagay deeyay
jado hay mayray haath main, mujh ko pata na tha
ous kay badan ki lou say thee kamray main roshnee
khirkee main chaand, taaq main koe deya na tha
saansoon main thay ghulab, too hoontoon pay chandni
en manzaroon say main too kabhi aashna na tha
roya kuch es tarah mayray shaanay say lag kay wo
aysay laga keh jaysay kabhi baywafa na tha
hay eshq aik roog, mohabbat azaab hay
ek rooz yeh kharab karain gay, kaha na tha
**