koe bhi lamha kabhi laut kar nahi aya
wo shaks aisa gya k phir nazar nahi aya
kisi chirag nai poochi nahi khabar hamari
koe bhi phool mere naam par nahi aya
palat k anay laga sham k prinday bhi
humara subah ka bhoola magr nahi aya
hum ye mantay hain k wo bad ehad nahi ha faiz
magar zindgi kesay katay gi agr so nahi aya
ehsan
2
Re: Koe bhi Lamha
magar zindgi kesay katay gi agr so nahi aya
Yeh so kee jagah kiya “woh” hona chahiye?
Nice. :k:
Re: Koe bhi Lamha
palat k anay laga sham k prinday bhi
humara subah ka bhoola magr nahi aya
Matlab wo waqai bhoola ho gaya
Re: Koe bhi Lamha
yes 
ji abi tk to aisa e lag rha hai
Re: Koe bhi Lamha
Agar lot aae to aap ka dil itna bada hai ke yeh keh kar qabool kar len:
Wo kahin bhi gaya lota to mere paas aya
Bus yehi ik baat hai achi mere harjai ki