WAPDA walon ki mehrbani se main ne ye ghazal kal raat andhere main baith kar likhi:naak: Umeed hai ke ap achay alfaaz se meri hosla afzaai karain ge.
Koan kehta hai asaN hai mohabat karna
Apni hi zaat se hai, ap hi adavat karna
Shor hota hai rag rag main, lahu ho jaise
Uf ye honton pe khamoshi ki bnavaT karna
Muhtaaj hain har khushi main ik nazar ka teri
giraaN na ho to ab hum pe bhi inaayat karna
be-khudhi aisi ke wehshat hi wehshat har su
sada-lohoN pe aisi na sakhawat karana
ho jaye jo aab-e-shifa mere tabiyat pe zehar
chor don aey Khuda asnaam ki ibadat karna
na poch, jo shareek safar tha, aziz tar hai mujy
be-maani na kar de us ranj ko, wazahat karna
be-basi aisi ki ansu bhi hain roya bhi na jaye
jane wala to gaya ab kesi shikayat karna!!!
jiia
September 23, 2011, 5:34pm
2
Re: koan kehta hai…
aik k baad aik
5th thora sa confuse ker raha hi
Re: koan kehta hai…
Thanks Jiia
5th wala… explain kar don gi sirf tumhry liye
jiia
September 23, 2011, 5:43pm
4
Re: koan kehta hai…
achaa thanku:k:
to SALEES urdu mi likho plzzz
Re: koan kehta hai…
salees urdu…waisy sher ki tashreeh kar di jaye to maza nai aata
acha to 4th sher mein likha hai ke wehshat tari hai har taraf (yani tabiyat pareshan hai). aur jab tabiyat pareshan ho (yani insaan yaas aur na-umeedi ka shikar ho to usay is se nijaat ka akhri rasta zehar hi nazar aata hai) aur 5th sher main kaha hai ke agar zehar mere liye aab-e-shifa ka kaam kar de to main asnaam (buut/ idols) ko chor ke Khuda ki taraf loat aaon…aur aisa possible nai…kion ke jab insan negativity ko apnay dil o damagh pe savaar kar le to wo kabhi bhi achay aur buray ki pehchaan nai kar pata..(baRay se baRa hamdard bhi dushman lagta hai)
is se ziada main explain nai kar skti…
jiia
September 23, 2011, 5:53pm
6
Re: koan kehta hai…
mujy to bohat maza aya:zobo:
important to yi hi k
agar zeher ne kaam na kia to
ASNAM ka mere hathon kia hone wala hi ,u ko andza hi:mehr:
Re: koan kehta hai…
haan haan mujy boht achi tarah andaza ho gaya hai
jiia
September 23, 2011, 5:56pm
8
Re: koan kehta hai...
to batao k zehar ne asar kia k nahi
Re: koan kehta hai…
mujy zehr ki zarort hi nai parti…thori dair ro ro ke khud hi pehlay jaisi ho jati hon
jiia
September 24, 2011, 1:03pm
10
Re: koan kehta hai…
:nono:
jab mushkal mi hansa jata hi to oska matlab hota hi:nessy:
ALLAH TAWAKAL
os se ALLAH PAK itna khosh hote hen k apka daman khoshion se bhar dete hen
muskarane k liay to no:crying: just:hehe: to get ready 4 ma********1 kerne ko:mehr:
Re: koan kehta hai…
sadaa lohon pe aisi na sakhawat kerna…bohat alaa but inno chanda wapda pe itna time or telent kiun zaya ker dia :hinna:
Re: koan kehta hai...
@Jia ap k siggi ka sher zabardast hai.
Re: koan kehta hai...
@Jia ap k siggi ka sher zabardast hai.