kizan k mosum ki sard shamain…
sarab yadon k hath thamay…
kabhi jo tum say hisab mangain…
mayosiyon ka nisab mangain,
bay-noor ankhon say khuwab mangain…
to jan laina k khuwab saray,
gulab rutt k sarab saray…
meri hadon say nikal chukay hain
tumhari cokhat pay aa rukay hain…
musafaton say thakay howay hain
ghubar-e-rah say at’tay howay hain…
tumhari galion main chupp kharay hain
kuch iss tarah say daray howay hain…
sawali nazron say, takk rahay hain…
tumhari chokhat pay janay kub say…
jabeen jhukaey howay kharay hain
Re: kizan k mosum ki sard shamain
Wah. Achi hai. :)
Re: kizan k mosum ki sard shamain
:k:
Re: kizan k mosum ki sard shamain
thx all
Re: kizan k mosum ki sard shamain
awesome ![]()
Re: kizan k mosum ki sard shamain
bahot khuub!
Re: kizan k mosum ki sard shamain
Very nice..
Re: kizan k mosum ki sard shamain
thx once again