har moj kay daaman mai baydaar jo darya hay
ikk rait kay zarray mai abaad jo sehra hay
kiya iss ki wazaahat hay! kiya iss ka taqazah hay
jo saamnay aata hay, manzar hay keh parda hay
bay-unt sawalon ki zanjeer hay yeh dunya
uss aks kay saayon ki tasveer hay yeh dunya
jiss aks kay jalvay ko har aankh tarasti hay
hay aik ghata aisi, khulti na barasti hay
kiyoon rang nahi ruktay! kiyoon baat nahi chalti?
kiyoon chaand nahi bujhta, kiyoon raat nahi jalti?
mausam ki sada sun kar kiyoon shaakh larazti hay
kiyoon os kaf-e-gul par pal bhar ko Theherti hay
kiyoon khwaab bhataktay hain! kiyoon aas bikhtarti hay
iss aik tasalsal say kiyoon waqt nahi thakta!
bas aik tahiyyur mai kiyoon umr guzarti hay?
A.I.A.