Just reviving a nazam from '99 that got burried under the zillion or so posts ![]()
*Kiyon tu nay usay phool kaha hay mairay dost?
Tu nay shayed mairay mehboob ko dekha he naheen
Tu jisay itne haseen cheez samjhta hay, woh phool..
Sookh ja-ay to nigahon ko bura lagta hay
Phool ka apna koee rang, koee roop naheen
Us kay jooray mein saja ho tau bhala lagta hay
Maira mehboob tau har waqt naya hay mairay dost!
Mairay mehboob ki do aankhen hain, gahree gheelain
Jin mein khiltay hain mairay wastay chahut kay kanwal
In ko dekhon tau mujhay shaeree aa jayay
Aur mein gaoon, us kay wastay, muhabat ki ghazal
Woh mairay dil kay dharaknay ki sadaa hay mairay dost!
Mairay mehboob kay jalwon ka naheen koee jawab
Dhoop sa rung hay, aur khud hay woh chaoon jaisa
Uskee paazeb sey barsaat ka mausam chankay
Sur pey resham ka duputta hay, ghataoon jaisa
Woh jahan bhur kay haseenon say juda hay mairay dost!
sigh
Tu nay shayed mairay mehboob ko dekha he naheen!*