kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay

**kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay
apni aankhon say bhi mein zakhm chhupaao apnay

mein tou qaim hon tere gham ki badolat warna
yun bikhar jaoon k khud hath nah aon apnay

sher logon kay bohat yaad hain ouron kay liye
tou milay tou mein tujhay sher sunaoun apnay

sochta hon k bujha duun mein yeh kamray ka diya
apnay sayay ko bhi kiyon sath jagaon apnay

is ki talwar ne woh chaal chali hai aisi
paon katete hain agar hath bachaoo apnay**

Re: kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay

:hinna:

Re: kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay

Kia howa...........?

Re: kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay

nostalgia

Re: kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay

**sochta hon k bujha duun mein yeh kamray ka diya
apnay sayay ko bhi kiyon sath jagaon apnay

eendhan bachaiye apne liye qom ke liye :p
**

Re: kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay

hahaha...........