Kiya tha pyar jis say zindagi ki tarah
Woh aashana bhe mila hum say ajnabi ki tarah
Badaa kay pyass mere uss nay hath chor diyeh
Kar rahaa tha woh muravvat bhe dillagi ke tarah
Kisay khabar the badedgii kuch aur tareeqi
Chupay ga woh kisi badalii mai chaadnii ki tarah
Kabhi na socha tha hum nay “Qateel” uss kay liyeh
Karay ga hum pay sitam woh bhi har kisi ke tarah
Qateel Shifaai !!