kiya naam douN!?!?

toot gaya toot gaya yeh janay kahaN say sheesha
gham-e-dil say janay q choora na sakay peecha
aansouN nay q aakar liput liya hamari aankhouN ko
dil doob gaya phir bhi bhula na sakay uss ki batouN ko
hamay rehnay dou, jalnay dou apnay hi daman may
roushni tou kiya, kabhi hawa na aye gi iss aangan may
abb tou koi alfaaz nahee miltay kisi izhaar kay liyeh
jalaye rakhtein hain abb ham jhooti hunsi kay diye
aik arzoo buss aik khawahish apnay rabb ki zaat say
kay khaye na koi chout at least hamari kisi baat say!

By - EMM :devil:

Re: kiya naam douN!?!?

aik arzoo buss aik khawahish apnay rabb ki zaat say
kay khaye na koi chout at least hamari kisi baat say!

Ameen

Re: kiya naam douN!?!?

thanx Azad :)

Re: kiya naam douN!?!?

koi bat nahi

Re: kiya naam douN!?!?

Buhat Achchay hum khush hovay kay evil ko sochna bhi aata hay :flower1:

Re: kiya naam douN!?!?

abhay teri tou :bailan:

Re: kiya naam douN!?!?

Kiya hova Khala :smokin:

Re: kiya naam douN!?!?

mamooo yahaN bhi floodin karni hai kiya :smokin:

Re: kiya naam douN!?!?

Naheen yahan Flirting ka mood hay :smooth:

Re: kiya naam douN!?!?

lol, mamoo flirting heart mareezouN kay liyeh achi nahe :p

Re: kiya naam douN!?!?

^ magar hum heart kay Mareez naheen hain ;)

Re: kiya naam douN!?!?

aap nahee…magar…aur loug tou hain na :smokin:

Re: kiya naam douN!?!?

^ Aray aur log apni fikar khud karaingay .... Tum kiyun ghul rahi ho Auroo'n kay ghum main ???

Re: kiya naam douN!?!?

hmm...sahee kaha....

Re: kiya naam douN!?!?

^ Main ghalat kab kahta hoon :smooth:

Re: kiya naam douN!?!?

array mamoo abb itnay bhi khush na ho....ham nay baat adhoori chour di thee :p

Re: kiya naam douN!?!?

^btw Khala aap ja kahan raheen hain mairi BD say pahlay :bummer:

Re: kiya naam douN!?!?

aaap ki BD kabb hai?

Re: kiya naam douN!?!?

17 dec ko ;)

Re: kiya naam douN!?!?

o great :smack:

Happt Birthday In advance yaar :slight_smile: