Kiya Karogay ?
Tazzad-e-jazbaat Me,
Yeh Naazuk Muqaam Aaya, To Kiya Karogay ?
Me Ro Raha Hoon, Tum Hans Rahi Ho,
Me Muskuraya To Kiya Karogay ?
Kuch Apnay Dil Per Bhi Chot Khao,
Mere Lahoo Ki Bahaar Kab Tak ?
Mujhay Sahara Bananay Walon,
Me Lar-kharaya to Kiya Karogay ?
Abhi to Daman Chura Rahay Ho,
Bigar Ke Mujh Se Yun Ja Rahay Ho ?
Magar Kabhi Dil Ki Dharkanon Me,
Shareek Paya To Kiya Karogay ?
Mujhay To is Darjah Waqt-e-rukhsat,
Sakoon Ki Talqeen Ker Rahay Ho ?
Magar Kuch Apnay Liye Bhi Socha !
Me Yaad Aaya To Kiya Karogay ?
…
fara
2
Re: Kiya Karogay ?
wah wah wah … loat liya aapnay!
kia baat hay …
Re: Kiya Karogay ?
Wah… Its Beautiful… Buhut Achay… 
Re: Kiya Karogay ?
ZABARDAST MS jii ALLAH aap ko khush rakhay…:)thanx 4 sharing
** FARA** ji Aap kiyun khwah makhwah MS ji ko DAAKO:soldier: bana rahi hain :)
Re: Kiya Karogay ?
n also thnx too PK & GS :)
system
7
Re: Kiya Karogay ?
I was just listening to this ghazal few minutes ago... I just love it in Ghulam Ali's voice...
Mujhey sahaara bananey walo... maiN laRkhaRaya to kya karo gey..
gungunaaying and pressing play button once again