kitni mushkil se kati........

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

mein jis ke waastay lar jaaon is khudae se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan mein nay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqt jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

:k:

zabardast ghazal :k::k:

:-))

beautiful :k:

one of my fav :slight_smile:

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

very nice :k:

Re: kitni mushkil se kati…

sari ghazal bohat acchi hai but these 3shairs are beautiful :k:

zabardust:k:

Re: kitni mushkil se kati…

zabardast thanx for sharing :k:

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

v nice

Thanx swera, vivacious, cuteepie, kashish, chand chehra, jaan lewa, zakhmi umar and coolpeepa
thanx to all of u:)

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai me nay maat na pooch

Zaboordust Maza Aagay..

:k:

thanx:flower1:

:slight_smile: