Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na poocho
Dil se nikli hui honton me dabi baat na poocho
Wo kis adaa se mere saamnay se guzraa abhi
Kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na poocho
Waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
Kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
Wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
Kis tarha usney chudaya hai mujh se haath na poocho
Is tarha pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarha apno se khaai hai mainey maat na poocho
Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
Kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch