kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


teri dil lagi k sadqay teri sungdili pe qurbaaN
meray ghum pe hasnay walay tujhay konci dua dooN
[/QUOTE]


Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad naheeN
Meray naGHmaat ko andaaz-e-nawaa yaad naheeN

Aao ek sajdaa karaiN aalam-e-madhahoshii maiN
Kahate haiN ke "Sagar" ko Khuda yaad naheeN

Welcome Chando jee, aap bhi hissa lijiay is kaar e khair main :wink:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad naheeN
Meray naGHmaat ko andaaz-e-nawaa yaad naheeN

Aao ek sajdaa karaiN aalam-e-madhahoshii maiN
Kahate haiN ke "Sagar" ko Khuda yaad naheeN

[/QUOTE]

dunia ki fiker deen ki baa'taiN khuda ki yaad
sab kuch bhula dya teray do din k payar ne

thanks chandu je
keem e’M dekhing :smiley:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *

Welcome Chando jee, aap bhi hissa lijiay is kaar e khair main ;)
[/QUOTE]

ye aien ghi hamarey baad main..:p

wo aik sher hia na kia kahtey hian

"mohabat ab nahi ho ghi hamari yaad main ho ghi"

sumthin like that..:)

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


dunia ki fiker deen ki baa'taiN khuda ki yaad
sab kuch bhula dya teray do din k payar ne
[/QUOTE]


Duniya keh sitam yaad na apani hee wafa yaad
Ab mujh ko naheeN kuch bhee muhabbat ke siwa yaad

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Duniya keh sitam yaad na apani hee wafa yaad
Ab mujh ko naheeN kuch bhee muhabbat ke siwa yaad

[/QUOTE]

hum ne jiN k leay raahooN maiN bichaa'eya tha lahoo
hum se kahtey haiN wohi ahad-e-wafa yaad nahi

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


hum ne jiN k leay raahooN maiN bichaa'eya tha lahoo
hum se kahtey haiN wohi ahad-e-wafa yaad nahi
[/QUOTE]


Duniya kay sitam yaad na apni hee wafa yaad
Ab mujh ko naheeN kuch bhee muhabbat kay siwa yaad

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *


dunia ki fiker deen ki baa'taiN khuda ki yaad
sab kuch bhula dya teray do din k payar ne
[/QUOTE]


Aisa nahee keh unsay mohabbat nahee rahee
Jazbaat maiN woh pehlee see shiddat nahee rahee

Sir maiN woh intezaar ka saudaa nahee raha
Dil par woh dhaRkanoN kee hukoomat nahee rahee

Kamzori-e-nigaah nay sanjeeda ker diya
JalvoN say chheR chhaaR kee aadat nahee rahee

Allah janay maut kahaaN mur gayee 'KHumar'
Ab mujh ko zindagi kee zaroorat nahee rahee

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Duniya kay sitam yaad na apni hee wafa yaad
Ab mujh ko naheeN kuch bhee muhabbat kay siwa yaad

[/QUOTE]

wG zara nend se jagiey ap already ye sher kar chukay hain uper..:p

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *


Aisa nahee keh unsay mohabbat nahee rahee
Jazbaat maiN woh pehlee see shiddat nahee rahee

Sir maiN woh intezaar ka saudaa nahee raha
Dil par woh dhaRkanoN kee hukoomat nahee rahee

Kamzori-e-nigaah nay sanjeeda ker diya
JalvoN say chheR chhaaR kee aadat nahee rahee

Allah janay maut kahaaN mur gayee 'KHumar'
Ab mujh ko zindagi kee zaroorat nahee rahee

[/QUOTE]

aray ap tu sher latey latey puri family he utha laey chaliey ap be kia yaad karo gaye koyal be family suamiet he ati :p

taareef-e-sukhaN kartey tareef-e-zai kartey
aur tum se mohabat be hum haad se siwa kartey

dil kaanch ka saagar tha tu pahlo maiN chubhan kesi
hum shahar-e-musafit ko keoN shahar-e-wafa kartey

is hijar k moasam maiN ye juram be ho jata
khawaish be lahoo hoti mosam be ruka kartey

jo meray hunar maiN tha wo tera fasana tha
tu kuch be kaha karta hum phir be dua kartey

hai qatra shabnaum maiN ye barq-e-tapa pinhaaN
ya chaaraa gari kartey ya sher likhaa kartey

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

inhi pathrooN pe chal k aa sako tu awo
meraY ghaR k rasteY maiN koi kahkashaN nahi
[/QUOTE]

kis qadar nadaan they hum dhoka kha gaye...
pathrooN k shahar maiN leay aa'ena hum a gaye

[QUOTE]
*Originally posted by ullujii: *

kis qadar nadaan they hum dhoka kha gaye...
pathrooN k shahar maiN leay aa'ena hum a gaye
[/QUOTE]

.

beautiful sher uluji :k: :stuck_out_tongue:

saboot doon gha maiN tuj ko wafa’ooN ka apni
zara gardish-e-dooraaN sakooN lainay day

aafat kii shoKhiyaa.N hai.n tumhaarii nigaah me
mehashar ke fitane khelate hai.n jalwa-gaah me

[QUOTE]
*Originally posted by ullujii: *

aafat kii shoKhiyaa.N hai.n tumhaarii nigaah me
mehashar ke fitane khelate hai.n jalwa-gaah me
[/QUOTE]

nigaah-e-shooq sar-e-bazam be-hijaab na kar
wo bekhabar he sahi itnay be-khabr be nahi

baadalo.n kaa kaafilaa aataa huaa achchhaa lagaa
pyaas kii dharatii ko har saavan ba.Daa achchhaa lagaa

us bharii mahafil me.n us kaa chand lamho.n ke liye
mujh se milanaa baat karanaa dekhanaa achchhaa lagaa

jin kaa sach honaa kisii suurat se bhii mumkin na thaa
aisii aisii baate.n aksar sochanaa achchhaa lagaa

vo to kyaa aataa magar Khush_fahamiyo.n ke saath saath
saarii saarii raat ham ko jaaganaa achchhaa lagaa

pahale pahale to nigaaho.n me.n ko_ii jachataa na thaa
raftaa raftaa duusaraa phir tiisaraa achchhaa lagaa

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *

nigaah-e-shooq sar-e-bazam be-hijaab na kar
wo bekhabar he sahi itnay be-khabr be nahi
[/QUOTE]

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad

[QUOTE]
*Originally posted by ullujii: *

nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
[/QUOTE]

nazar utha k zara dekh tu sahi ik baar mujhay
k teray dard ne kitna badal dya hia mujhay