:k: one of ma fav
mujhay tumhari judaa'e ka koi bhi ruunj nahi meray khayalooN ki dunia maiN meray pass ho tum^ Koyal jee - Beautiful jee :k:
![]()
shukria Sherni g koyal is always beautiful g ![]()
^^
Ji Koyal g is always bootiful :Pretty: Koi shaq? ![]()
Hum bhi ek shair arz karein? ![]()
aray abhi taak aik he sher pakra ap ne hum ne soocha ap tu sheron ki bhrmaar la rehi ![]()
nice 1 Koyal ![]()
ahmm ahmmm ahmmm… :halo:
Neend ka halka gulabi sa khumaar aankhoon mein tha
Yoon laga jaisy woh shab ko daire tak soya nahi
Janta hoon aik aisy shahas ko mein bhi MUNEER
Gham say PATHAR ho gaya ,laikin kabhi ROYA nahi
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
jis pe pather ka gumaaN dekhnay walooN ko huwa
log kahtey haiN k wo aankh be num hia ab k
[/QUOTE]
nice...
Na tum aa-aay na chain aaya na moot aaye shabay-wada
dilay-muztaar tha main tha aur thee baatain mere...
[QUOTE]
*Originally posted by Kamran-Khan: *
nice...
Na tum aa-aay na chain aaya na moot aaye shabay-wada
dilay-muztaar tha main tha aur thee baatain mere...
[/QUOTE]
teray shab-oroz be ajeeb they na shumaar tha na hisaab tha
kabhi umer bhaar ki khabar na thei kabhi aik pal ko sadi kaha
gerdishay-ayaam say din koee aaysa niklay
tum mayray pass ho aur subha ka tara niklay
khoo gaya koee tayree yadoon kay ghanay jangal may
chalay bi aaoo kay abb aankhoon say andhayra niklay
.. ![]()
only if!!.. :halo:
neend waloon ko kiya khabar is ki
kon jaga hai raat bhur tanha …
raat bhar jagtey rahtey ho bhla keon logo
tum ne ye doolat-e-baidaar kahaN se paa’ee hia
![]()
Zulmatay-shab ko sitaroon say sanwara hum nay
kitni raatoon ko ** USSE** uth kay pukara hum nay
![]()
Zulmatay-shab ko sitaroon say sanwara hum nay
kitni raatoon ko ** USSE** uth kay pukara hum nay
:halo: excuse me for some alteration..
USAY
lagta sher kuch zaida he acha laga :halo:
aik shair mae bhee arz keroon ![]()
- hamare dil mein rehta hai bicherne ka alm taza
hawao`on un se keh du wo akser yaad aatay hien * :halo:
bicher gaa’ey haiN tu milnay ki kha’ish kia rakhna
ab apnay ap ko itna udaas kia rakhna
[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
thnaks ZU lakin ap ka sher kahan hai :)
[/QUOTE]
mai.n jahaa.N tum ko bulaataa huu.N vahaa.N tak aao
merii nazaro.n se guzar kar dil-o-jaa.N tak aao
chho.D kar vaham-o-gumaa.N husn-e-yahqii.n tak pahu.Ncho
par yaqii.n se bhii kabhii vaham-o-gumaa.N tak aao